kuchh hina se nahin hai us kaf-e-pa ki KHubi
kuchh hina se nahin hai us kaf-e-pa ki KHubi
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
kuchh hinā se nahīñ hai us kaf-e-pā kī ḳhūbī
balki hai us kaf-e-pā hī se hinā kī ḳhūbī
zeb-tan us ke huī ye hai qabā kī ḳhūbī
nik.hat-e-zulf kā laanā hai sabā kī ḳhūbī
misl-e-ā.īna ke zāhir meñ safā haiñ to kyā
ahl-e-ālam meñ hai bātin kī safā kī ḳhūbī
ustuḳhvāñ-reza pe kartā hai qanā.at jo vo
us se hai saare tuyūroñ meñ humā kī ḳhūbī
jānvar hai na ho insān meñ gar sharm-o-hayā
kyoñ hai insāñ meñ faqat sharm-o-hayā kī ḳhūbī
ḳhūbī-e-ahl-e-duval daulat-o-hashmat se nahīñ
mutavāze ho yahī hai umarā kī ḳhūbī
sehat-o-āfiyat-o-farhat-e-rizq-o-īmāñ
aish baḳhshī tujhe hai sab ye ḳhudā kī ḳhūbī
kuchh hina se nahin hai us kaf-e-pa ki KHubi
balki hai us kaf-e-pa hi se hina ki KHubi
zeb-tan us ke hui ye hai qaba ki KHubi
nikhat-e-zulf ka lana hai saba ki KHubi
misl-e-aina ke zahir mein safa hain to kya
ahl-e-alam mein hai baatin ki safa ki KHubi
ustuKHwan-reza pe karta hai qanaat jo wo
us se hai sare tuyuron mein huma ki KHubi
jaanwar hai na ho insan mein gar sharm-o-haya
kyon hai insan mein faqat sharm-o-haya ki KHubi
KHubi-e-ahl-e-duwal daulat-o-hashmat se nahin
mutawaze ho yahi hai umara ki KHubi
sehat-o-afiyat-o-farhat-e-rizq-o-iman
aish baKHshi tujhe hai sab ye KHuda ki KHubi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.