kuchh is ada se gham-e-zindagi ke sath chale
kuchh is adā se ġham-e-zindagī ke saath chale
ki jaise koī kisī ajnabī ke saath chale
qadam qadam ġham-e-kaun-o-makāñ bhulā.e hue
jo mere saath chale vo ḳhushī ke saath chale
ḳhirad ko rāh-ravī kā shu'ūr aa jaa.e
zarā sī duur vo dīvāngī ke saath chale
jo ham-safar nahīñ koī to apnā saaya hai
ye aasrā to hai jaise kisī ke saath chale
surūr-o-kaif kī rāheñ bahut hī nāzuk haiñ
unhīñ kā zikr zarā mai-kashī ke saath chale
rah-e-hayāt meñ vo tajrabe hue haiñ ki bas
har ek soch-samajh kar kisī ke saath chale
ḳhayāl apnā to ye hai ki dāstān-e-hayāt
'ra.īs' kuchh bhī ho zinda-dilī ke saath chale
kuchh is ada se gham-e-zindagi ke sath chale
ki jaise koi kisi ajnabi ke sath chale
qadam qadam gham-e-kaun-o-makan bhulae hue
jo mere sath chale wo KHushi ke sath chale
KHirad ko rah-rawi ka shu'ur aa jae
zara si dur wo diwangi ke sath chale
jo ham-safar nahin koi to apna saya hai
ye aasra to hai jaise kisi ke sath chale
surur-o-kaif ki rahen bahut hi nazuk hain
unhin ka zikr zara mai-kashi ke sath chale
rah-e-hayat mein wo tajrabe hue hain ki bas
har ek soch-samajh kar kisi ke sath chale
KHayal apna to ye hai ki dastan-e-hayat
'rais' kuchh bhi ho zinda-dili ke sath chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.