kuchh is liye hi tujhse bichhaD kar ghami nahin
kuchh is liye hi tujhse bichhaD kar ghami nahin
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
kuchh is liye hī tujh se bichhaḌ kar ġhamī nahīñ
tujh pe hamārī aañkh kī rangat khulī nahīñ
TuuTe diloñ ko aasrā detā huuñ shauq se
mujh sā tamām dasht meñ koī ġhanī nahīñ
kuchh roz mujh ko zaḳhm-e-jigar se najāt de
filhāl mujh ko dard kī koī kamī nahīñ
varna to ik hujūm ko dekhā hai girya-zār
ye maiñ hī huuñ ki jis ko ġham-e-zindagī nahīñ
jaise maiñ chāhtā huuñ tirī zaat ke liye
is tarz se ye bazm abhī tak sajī nahīñ
ḳhud ko hī joḌtā huuñ ki ab hai baqā yahī
tujh se to ḳhair ḳhair kī kuchh aas bhī nahīñ
'jāmī' tamām umr tirā mubtalā rahā
mujh ko baġhaur dekh batā kyā vahī nahīñ
kuchh is liye hi tujh se bichhaD kar ghami nahin
tujh pe hamari aankh ki rangat khuli nahin
TuTe dilon ko aasra deta hun shauq se
mujh sa tamam dasht mein koi ghani nahin
kuchh roz mujh ko zaKHm-e-jigar se najat de
filhaal mujh ko dard ki koi kami nahin
warna to ek hujum ko dekha hai girya-zar
ye main hi hun ki jis ko gham-e-zindagi nahin
jaise main chahta hun teri zat ke liye
is tarz se ye bazm abhi tak saji nahin
KHud ko hi joDta hun ki ab hai baqa yahi
tujh se to KHair KHair ki kuchh aas bhi nahin
'jami' tamam umr tera mubtala raha
mujh ko baghaur dekh bata kya wahi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.