kuchh is qadar main KHirad ke asar mein aa gaya hun
kuchh is qadar maiñ ḳhirad ke asar meñ aa gayā huuñ
simaT ke saarā kā saarā hī sar meñ aa gayā huuñ
zamīñ uchhāl chukī āsmāñ ne thāmā nahīñ
maiñ kā.enāt meñ bilkul adhar meñ aa gayā huuñ
ye zindagī bhī mire hausloñ pe hairāñ hai
samajh rahī thī ki maiñ us ke Dar meñ aa gayā huuñ
zarā sā fāsla maiñ ne bhī tai kiyā to hai
agar se do qadam aage magar maiñ aa gayā huuñ
mirī shanāḳht kī ḳhātir chhapī mirī tasvīr
na jīte-jī sahī mar ke ḳhabar meñ aa gayā huuñ
udaas ho gayā huuñ phir se ik zarā hañs kar
meñ ghūm-ghām ke phir apne ghar meñ aa gayā huuñ
na aa sakā maiñ tire haath kī lakīroñ meñ
yahī bahut hai tirī chashm-e-tar meñ aa gayā huuñ
ye soch kar ki na duuñ nāḳhudā ko ye zahmat
utar ke kashtī se ḳhud hī bhañvar meñ aa gayā huuñ
chhupā na paayā kabhī ḳhud ko apne sheroñ meñ
maiñ jo huuñ jaisā huuñ apne hunar meñ aa gayā huuñ
kuchh is qadar main KHirad ke asar mein aa gaya hun
simaT ke sara ka sara hi sar mein aa gaya hun
zamin uchhaal chuki aasman ne thama nahin
main kaenat mein bilkul adhar mein aa gaya hun
ye zindagi bhi mere hauslon pe hairan hai
samajh rahi thi ki main us ke Dar mein aa gaya hun
zara sa fasla main ne bhi tai kiya to hai
agar se do qadam aage magar main aa gaya hun
meri shanaKHt ki KHatir chhapi meri taswir
na jite-ji sahi mar ke KHabar mein aa gaya hun
udas ho gaya hun phir se ek zara hans kar
mein ghum-gham ke phir apne ghar mein aa gaya hun
na aa saka main tere hath ki lakiron mein
yahi bahut hai teri chashm-e-tar mein aa gaya hun
ye soch kar ki na dun naKHuda ko ye zahmat
utar ke kashti se KHud hi bhanwar mein aa gaya hun
chhupa na paya kabhi KHud ko apne sheron mein
main jo hun jaisa hun apne hunar mein aa gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.