kuchh is qadar tawil tha wo daur intizar ka
kuchh is qadar tavīl thā vo daur intizār kā
ki rafta rafta bujh gayā charāġh dil meñ pyaar kā
chaman meñ mustaqil rahā ḳhizāñ kā daur yuuñ ki phir
ye dil hī muntazir nahīñ rahā kisī bahār kā
na ab vo rahguzar rahī na vo safar na ham-safar
magar hai dil pe aaj bhī asar usī ḳhumār kā
yaqīn kar liyā thā maiñ ne us pe aañkh muuñd kar
bas ik yahī to thā qusūr mujh gunāhgār kā
na ḳhushbueñ guloñ kī ab na sā.ebān kā pata
na jaane kab talak chale safar ye regzār kā
thī zindagī chaḌhāv par to muḳhtasar lagā safar
magar lagā tavīl ḳhuub rāsta utaar kā
na de sakegā kuchh tumheñ sivā.e dard-e-dil ke ye
to kyoñ uThā ke chal rahe ho bojh ye ġhubār kā
kuchh is qadar tawil tha wo daur intizar ka
ki rafta rafta bujh gaya charagh dil mein pyar ka
chaman mein mustaqil raha KHizan ka daur yun ki phir
ye dil hi muntazir nahin raha kisi bahaar ka
na ab wo rahguzar rahi na wo safar na ham-safar
magar hai dil pe aaj bhi asar usi KHumar ka
yaqin kar liya tha main ne us pe aankh mund kar
bas ek yahi to tha qusur mujh gunahgar ka
na KHushbuen gulon ki ab na saeban ka pata
na jaane kab talak chale safar ye regzar ka
thi zindagi chaDhaw par to muKHtasar laga safar
magar laga tawil KHub rasta utar ka
na de sakega kuchh tumhein siwae dard-e-dil ke ye
to kyon uTha ke chal rahe ho bojh ye ghubar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.