kuchh is tarah se nizam-exgul-o-bahaar chale
kuchh is tarah se nizām-exgul-o-bahār chale
ki e.atibār-e-mohabbat kā kārobār chale
nisār dil ko to pahle hī kar chuke the ham
bas ek jaan thī vo aaj tujh pe vaar chale
huā na aaj bhī hāsil hameñ tirā dīdār
ham aaj bhī tire kūche se ashk-bār chale
sukūñ yahāñ bhī mayassar na ho sakā dil ko
tumhārī bazm meñ aa kar bhī be-qarār chale
dil-o-nigāh haiñ ik mast-e-nāz ke bas meñ
dil-o-nigāh pe ab kis kā iḳhtiyār chale
raheñge ham shajar-e-sāya-dār kī sūrat
riyāz-e-dahr meñ bād-e-ḳhizāñ hazār chale
ḳhizāñ-sifat tirī mahfil meñ aa.e the lekin
ham anjuman se tirī sūrat-e-bahār chale
chale 'azīm' kuchh is tarah bazm se uTh kar
ki jaise shahr-e-nigārāñ se shahryār chale
kuchh is tarah se nizam-exgul-o-bahaar chale
ki eatibar-e-mohabbat ka karobar chale
nisar dil ko to pahle hi kar chuke the hum
bas ek jaan thi wo aaj tujh pe war chale
hua na aaj bhi hasil hamein tera didar
hum aaj bhi tere kuche se ashk-bar chale
sukun yahan bhi mayassar na ho saka dil ko
tumhaari bazm mein aa kar bhi be-qarar chale
dil-o-nigah hain ek mast-e-naz ke bas mein
dil-o-nigah pe ab kis ka iKHtiyar chale
rahenge hum shajar-e-saya-dar ki surat
riyaz-e-dahr mein baad-e-KHizan hazar chale
KHizan-sifat teri mahfil mein aae the lekin
hum anjuman se teri surat-e-bahaar chale
chale 'azim' kuchh is tarah bazm se uTh kar
ki jaise shahr-e-nigaran se shahryar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.