kuchh is tarah se wo mere nazdik aa raha tha
kuchh is tarah se vo mere nazdīk aa rahā thā
diye kī lau bujh rahī thī maiñ jaltā jā rahā thā
vo ruk gayā jab sabaq kā unvān-e-ishq aayā
jo zindagī kā nisāb mujh ko paḌhā rahā thā
maiñ ab ke andar se kar rahā thā badan ko chhalnī
so bas tasavvur meñ us kā mātam manā rahā thā
phir ek din ḳhuun ban ke āñkhoñ se chīḳh niklī
maiñ apnī āvāz jaane kab se dabā rahā thā
maiñ apnī āñkhoñ se sun rahā thā vo ik kahānī
vo ik kahānī jo us kā chehra sunā rahā thā
maiñ apne chehroñ se ḳhud bhī hairān sā huuñ 'tāriq'
vo mere andar se itne parde uThā rahā thā
kuchh is tarah se wo mere nazdik aa raha tha
diye ki lau bujh rahi thi main jalta ja raha tha
wo ruk gaya jab sabaq ka unwan-e-ishq aaya
jo zindagi ka nisab mujh ko paDha raha tha
main ab ke andar se kar raha tha badan ko chhalni
so bas tasawwur mein us ka matam mana raha tha
phir ek din KHun ban ke aankhon se chiKH nikli
main apni aawaz jaane kab se daba raha tha
main apni aankhon se sun raha tha wo ek kahani
wo ek kahani jo us ka chehra suna raha tha
main apne chehron se KHud bhi hairan sa hun 'tariq'
wo mere andar se itne parde uTha raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.