Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai

Nadeem Farrukh

kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai

Nadeem Farrukh

MORE BYNadeem Farrukh

    kuchh is tarah se zamāne pe chhānā chāhtā hai

    vo āftāb pe pahre biThānā chāhtā hai

    ta'alluqāt ke dhāge to kab ke TuuT chuke

    magar ye dil hai ki phir aanā jaanā chāhtā hai

    jo qatra qatra ikaTThā huā thā āñkhoñ meñ

    vo ḳhuun ab mirī palkoñ pe aanā chāhtā hai

    chaTaḳh rahā hai jo rah rah ke mere siine meñ

    vo mujh meñ kaun hai jo TuuT jaanā chāhtā hai

    amīr-e-shahr tirī bandisheñ ma.āz-allāh

    faqīr ab tirī bastī se jaanā chāhtā hai

    ye ḳhvāhishāt panchhī 'ajīb hai har roz

    na.ī fazā.eñ nayā āb-o-dānā chāhtā hai

    udāsī jhāñkne lagtī hai us āñkhoñ se

    vo shaḳhs jab bhī kabhī muskurānā chāhtā hai

    kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai

    wo aaftab pe pahre biThana chahta hai

    ta'alluqat ke dhage to kab ke TuT chuke

    magar ye dil hai ki phir aana jaana chahta hai

    jo qatra qatra ikaTTha hua tha aankhon mein

    wo KHun ab meri palkon pe aana chahta hai

    chaTaKH raha hai jo rah rah ke mere sine mein

    wo mujh mein kaun hai jo TuT jaana chahta hai

    amir-e-shahr teri bandishen maaz-allah

    faqir ab teri basti se jaana chahta hai

    ye KHwahishat ka panchhi 'ajib hai har roz

    nai fazaen naya aab-o-dana chahta hai

    udasi jhankne lagti hai us ki aankhon se

    wo shaKHs jab bhi kabhi muskurana chahta hai

    Source :
    • Book : Loban (Pg. 3)
    • Author : Nadeem Farrukh
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now