kuchh is tarah wo dua-o-salam kar ke gaya
kuchh is tarah vo duā-o-salām kar ke gayā
mirī taraf hī ruḳh-e-intiqām kar ke gayā
jahāñ meñ aayā thā insāñ mohabbateñ karne
jo kaam karnā nahīñ thā vo kaam kar ke gayā
asiir hote ga.e bā-dil-e-nā-ḳhvāsta log
ġhulām karnā thā us ne ġhulām kar ke gayā
jo dard so.e hue the vo ho ga.e bedār
ye mo'jiza bhī mirā ḳhush-ḳhirām kar ke gayā
hai zindagī bhī vahī jo ho dūsroñ ke liye
vo mohtaram huā jo ehtirām kar ke gayā
ye sarzamīñ hai jalāl o jamāl o 'azmat kī
hai ḳhush-nasīb yahāñ jo qayām kar ke gayā
hai kaun shā.ir-e-ḳhush-fikr kaun hai fankār
ġhazal batā.egī kaun is meñ naam kar ke gayā
asar huā na huā bazm par 'alī-yāsir'
kalām karnā thā maiñ ne kalām kar ke gayā
kuchh is tarah wo dua-o-salam kar ke gaya
meri taraf hi ruKH-e-intiqam kar ke gaya
jahan mein aaya tha insan mohabbaten karne
jo kaam karna nahin tha wo kaam kar ke gaya
asir hote gae ba-dil-e-na-KHwasta log
ghulam karna tha us ne ghulam kar ke gaya
jo dard soe hue the wo ho gae bedar
ye mo'jiza bhi mera KHush-KHiram kar ke gaya
hai zindagi bhi wahi jo ho dusron ke liye
wo mohtaram hua jo ehtiram kar ke gaya
ye sarzamin hai jalal o jamal o 'azmat ki
hai KHush-nasib yahan jo qayam kar ke gaya
hai kaun shair-e-KHush-fikr kaun hai fankar
ghazal bataegi kaun is mein nam kar ke gaya
asar hua na hua bazm par 'ali-yasir'
kalam karna tha main ne kalam kar ke gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.