kuchh is tarah wo gale se lipaT ke rone laga
kuchh is tarah vo gale se lipaT ke rone lagā
badan meñ jaise kaleja hī kaT ke rone lagā
vo ek shaḳhs jo royā nahīñ thā barsoñ se
kitāb-e-ishq ke panne palaT ke rone lagā
ye zimmedārī to āḳhir kisī ko lenī thī
maiñ ḳhud hī aage baḌhā aur DaT ke rone lagā
vo kah rahā thā mire rāste se haT jaao
maiñ rāste se bahut duur haT ke rone lagā
daraḳht kāTne vāloñ ne jab ishāra kiyā
to ik parinda shajar se lipaT ke rone lagā
koī to baat use yaad aa ga.ī 'dānish'
vo jaate jaate achānak palaT ke rone lagā
kuchh is tarah wo gale se lipaT ke rone laga
badan mein jaise kaleja hi kaT ke rone laga
wo ek shaKHs jo roya nahin tha barson se
kitab-e-ishq ke panne palaT ke rone laga
ye zimmedari to aaKHir kisi ko leni thi
main KHud hi aage baDha aur DaT ke rone laga
wo kah raha tha mere raste se haT jao
main raste se bahut dur haT ke rone laga
daraKHt kaTne walon ne jab ishaara kiya
to ek parinda shajar se lipaT ke rone laga
koi to baat use yaad aa gai 'danish'
wo jate jate achanak palaT ke rone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.