kuchh izala to karen aap bhi taDpane ka
kuchh izāla to kareñ aap bhī taḌpāne kā
dil jo toḌā hai to phir sochiye harjāne kā
na koī ashk na baazū na koī zulf nasīb
koī masraf nazar aayā nahīñ is shāne kā
raat kyā ḳhuub tamāsha thā galī meñ un kī
shaiḳh-jī pūchhā kiye rāsta mai-ḳhāne kā
do ghaḌī dil to bahal jaatā hai tasvīr ke saath
mas.ala hal nahīñ hotā tire dīvāne kā
vasl meñ qurb kī lazzat se bhī mahrūm rahe
us pe ehsāñ bhī rahā aap ke aa jaane kā
is salīqe se gayā haath chhuḌā kar zālim
ki nasha lams kā thā dukh thā bichhaḌ jaane kā
saath aisā thā mayassar ki safar kaTtā gayā
ham ne sochā hī nahīñ raah meñ sustāne kā
sham.a ne dekh ke hī lau bhī baḌhā.ī hogī
har patiñge meñ kahāñ zarf hai jal jaane kā
aap ke chehre kī tamsīl kahā hai is ko
haq to bantā hai yahāñ phuul ke itrāne kā
kuchh izala to karen aap bhi taDpane ka
dil jo toDa hai to phir sochiye harjaane ka
na koi ashk na bazu na koi zulf nasib
koi masraf nazar aaya nahin is shane ka
raat kya KHub tamasha tha gali mein un ki
shaiKH-ji puchha kiye rasta mai-KHane ka
do ghaDi dil to bahal jata hai taswir ke sath
masala hal nahin hota tere diwane ka
wasl mein qurb ki lazzat se bhi mahrum rahe
us pe ehsan bhi raha aap ke aa jaane ka
is saliqe se gaya hath chhuDa kar zalim
ki nasha lams ka tha dukh tha bichhaD jaane ka
sath aisa tha mayassar ki safar kaTta gaya
hum ne socha hi nahin rah mein sustane ka
shama ne dekh ke hi lau bhi baDhai hogi
har patinge mein kahan zarf hai jal jaane ka
aap ke chehre ki tamsil kaha hai is ko
haq to banta hai yahan phul ke itrane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.