kuchh jaeza to lijiye apne bayan ka
kuchh jā.eza to lījiye apne bayān kā
tum se to mere dost ta'alluq hai maan kā
vo ḳhud to raushnī ke safar pe ravāñ hai aur
mujh ko pata diyā hai qadīmī makān kā
barsoñ ke kār-e-ḳhair kā phal mil gayā mujhe
naqsha milā hai mujh ko bhī sone kī kaan kā
ye ishq kā safar hai so is par ravāñ raho
kyā is meñ infirād hai pīr-o-javān kā
ye be-muravvatī ke tamāñchoñ kā daur hai
lagtā nahīñ hai koī mujhe is jahān kā
kahtā hai maiñ ne hijr se lazzat kashīd kī
ik baar muñh to dekhiye is ḳhush-gumān kā
TuuTe hue diloñ kā jo marham na ban sake
kyā fā.eda hai aise kisī bhī giyān kā
vo phuul dastaras meñ kisī shaḳhs ke nahīñ
is meñ bhalā qusūr hī kyā bāġhbān kā
ik baar zindagī meñ kabhī dekhnā zarūr
miTTī se lais jism kisī bhī kisān kā
toḌe baġhair maiñ ne palaTnā nahīñ 'razā'
chauḌā ho chāhe jitnā bhī siina chaTān kā
kuchh jaeza to lijiye apne bayan ka
tum se to mere dost ta'alluq hai man ka
wo KHud to raushni ke safar pe rawan hai aur
mujh ko pata diya hai qadimi makan ka
barson ke kar-e-KHair ka phal mil gaya mujhe
naqsha mila hai mujh ko bhi sone ki kan ka
ye ishq ka safar hai so is par rawan raho
kya is mein infirad hai pir-o-jawan ka
ye be-murawwati ke tamanchon ka daur hai
lagta nahin hai koi mujhe is jahan ka
kahta hai main ne hijr se lazzat kashid ki
ek bar munh to dekhiye is KHush-guman ka
TuTe hue dilon ka jo marham na ban sake
kya faeda hai aise kisi bhi giyan ka
wo phul dastaras mein kisi shaKHs ke nahin
is mein bhala qusur hi kya baghban ka
ek bar zindagi mein kabhi dekhna zarur
miTTi se lais jism kisi bhi kisan ka
toDe baghair main ne palaTna nahin 'raza'
chauDa ho chahe jitna bhi sina chaTan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.