kuchh KHak-e-rahguzar the kuchh dagh-dar the
kuchh KHak-e-rahguzar the kuchh dagh-dar the
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
kuchh ḳhāk-e-rahguzār the kuchh dāġh-dār the
mere chaman ke phuul shahīd-e-bahār the
manzil kaḌī thī pesh-e-nazar aur ham-safar
ḳhush the ki zer-e-sāya-e-dīvār-e-yār the
iimā hī thā ye chashm-e-dil-āvez-e-yār kā
ham ramz-ḳhvān-e-gardish-e-lail-o-nahār the
Darte na the darāzī-e-shām-e-firāq se
ham rāz-dār-e-silsila-e-zulf-e-yār the
ham jānte the ḳhūn-e-shahīdāñ kā mājrā
ham nukta-dān-e-ġhāza-e-rū-e-nigār the
phūloñ se ham-kalām the kāñToñ ke ham-zabāñ
dekho hameñ ki mahram-e-fasl-e-bahār the
ye turfa mājrā hai ki uḌtī thī dil meñ ḳhaak
phir bhī yahāñ nishān-e-kaf-e-pā-e-yār the
kartā hai iḳhtiyār ġham-e-yār bhī ye ruup
ham shaad the ki rehn-e-ġham-e-rozgār the
imsāl mauj-e-gul hī na thī zīnat-e-chaman
sailāb-e-ḳhūñ bhī ġhāza-e-rū-e-bahār the
aaya koī chaman meñ sunahrī qafas liye
kuchh naġhma-gar tuyūr sar-e-shāḳh-sār the
ham vahshiyoñ ne sehn-e-gulistāñ se ai ḳhizāñ
tinke bhī chun liye ki sharīk-e-bahār the
'ābid' zalīl-o-ḳhvār thī rasm-e-navā-garī
naġhme hameñ bhī nok-e-zabāñ be-shumār the
kuchh KHak-e-rahguzar the kuchh dagh-dar the
mere chaman ke phul shahid-e-bahaar the
manzil kaDi thi pesh-e-nazar aur ham-safar
KHush the ki zer-e-saya-e-diwar-e-yar the
ima hi tha ye chashm-e-dil-awez-e-yar ka
hum ramz-KHwan-e-gardish-e-lail-o-nahaar the
Darte na the daraazi-e-sham-e-firaq se
hum raaz-dar-e-silsila-e-zulf-e-yar the
hum jaante the KHun-e-shahidan ka majra
hum nukta-dan-e-ghaza-e-ru-e-nigar the
phulon se ham-kalam the kanTon ke ham-zaban
dekho hamein ki mahram-e-fasl-e-bahaar the
ye turfa majra hai ki uDti thi dil mein KHak
phir bhi yahan nishan-e-kaf-e-pa-e-yar the
karta hai iKHtiyar gham-e-yar bhi ye rup
hum shad the ki rehn-e-gham-e-rozgar the
imsal mauj-e-gul hi na thi zinat-e-chaman
sailab-e-KHun bhi ghaza-e-ru-e-bahaar the
aaya koi chaman mein sunahri qafas liye
kuchh naghma-gar tuyur sar-e-shaKH-sar the
hum wahshiyon ne sehn-e-gulistan se ai KHizan
tinke bhi chun liye ki sharik-e-bahaar the
'abid' zalil-o-KHwar thi rasm-e-nawa-gari
naghme hamein bhi nok-e-zaban be-shumar the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.