kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha
kuchh ḳhayāl-e-dil-e-nāshād to kar lenā thā
vo nahīñ thā to use yaad to kar lenā thā
kuchh uḌānoñ ke liye apne paroñ ko pahle
jumbish o jast se āzād to kar lenā thā
phir zarā dekhte tāsīr kise kahte haiñ
dil ko bhī shāmil-e-fariyād to kar lenā thā
koī tāmīr kī sūrat bhī nikal hī aatī
pahle is shahr ko barbād to kar lenā thā
qais ke baad ġhazālāñ kī tasallī ke liye
'hāshmī' dasht ko ābād to kar lenā thā
kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha
wo nahin tha to use yaad to kar lena tha
kuchh uDanon ke liye apne paron ko pahle
jumbish o jast se aazad to kar lena tha
phir zara dekhte tasir kise kahte hain
dil ko bhi shamil-e-fariyaad to kar lena tha
koi tamir ki surat bhi nikal hi aati
pahle is shahr ko barbaad to kar lena tha
qais ke baad ghazalan ki tasalli ke liye
'hashmi' dasht ko aabaad to kar lena tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.