kuchh KHwab adhure se aankhon mein saja rakhna
kuchh ḳhvāb adhūre se āñkhoñ meñ sajā rakhnā
tārīk gharoñdoñ meñ jugnū hī jalā rakhnā
pahroñ kisī chehre par kuchh rang sajāne ko
ḳhushbū kī ḳhabar rakhnā phūloñ kā pata rakhnā
vahmoñ kī ridā oḌhe gumnām vo phirtā hai
be-ḳhvāb makānoñ kā darvāza khulā rakhnā
sunsān jazīroñ ke bhīge hue sāhil par
tum chāñd kī kirnoñ se ik naam likhā rakhnā
ubhrī kaf-e-jānāñ par zanjīr lahū kī hai
kuchh der sahī us ko pāband-e-hinā rakhnā
yāroñ ke hujūm andar tanhā.ī se ghabrānā
tanhā.ī ke sahrā meñ ik shahr basā rakhnā
jab mom kā paikar hai ye jism 'razī' apnā
phir dhuup kī chādar meñ kyā ḳhud ko chhupā rakhnā
kuchh KHwab adhure se aankhon mein saja rakhna
tarik gharondon mein jugnu hi jala rakhna
pahron kisi chehre par kuchh rang sajaane ko
KHushbu ki KHabar rakhna phulon ka pata rakhna
wahmon ki rida oDhe gumnam wo phirta hai
be-KHwab makanon ka darwaza khula rakhna
sunsan jaziron ke bhige hue sahil par
tum chand ki kirnon se ek nam likha rakhna
ubhri kaf-e-jaanan par zanjir lahu ki hai
kuchh der sahi us ko paband-e-hina rakhna
yaron ke hujum andar tanhai se ghabrana
tanhai ke sahra mein ek shahr basa rakhna
jab mom ka paikar hai ye jism 'razi' apna
phir dhup ki chadar mein kya KHud ko chhupa rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.