kuchh KHwab se na KHwab ki tabir se hua
kuchh ḳhvāb se na ḳhvāb kī ta.abīr se huā
duniyā kā saarā kaam to tadbīr se huā
mansab to bas yahāñ pe muqaddar kī baat hai
vo nāmvar huā hai to taqdīr se havā
maiñ bandagān-e-dahr kā kab thā bhalā harīf
merā to saarā kaam hī tāḳhīr se huā
'ġhālib' ne ye to sach hī kahā thā ki dahr meñ
rusvā huā jo apnī hī tahrīr se huā
hālāt kī giraft meñ guzrī tamām umr
tāham na shor kuchh mirī zanjīr se huā
kuchh KHwab se na KHwab ki tabir se hua
duniya ka sara kaam to tadbir se hua
mansab to bas yahan pe muqaddar ki baat hai
wo namwar hua hai to taqdir se hawa
main bandagan-e-dahr ka kab tha bhala harif
mera to sara kaam hi taKHir se hua
'ghaalib' ne ye to sach hi kaha tha ki dahr mein
ruswa hua jo apni hi tahrir se hua
haalat ki giraft mein guzri tamam umr
taham na shor kuchh meri zanjir se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.