kuchh koh-kan jo waqf-e-zar-o-mal ho gae
kuchh koh-kan jo vaqf-e-zar-o-māl ho ga.e
tesha-ba-dast ho ke bhī kangāl ho ga.e
nām-o-numūd izzat-o-shohrat kamāl-o-fan
ye sab to merī raah ke janjāl ho ga.e
kal tak kaTorā le ke jo phirte the dar-ba-dar
kaise vo ek raat meñ ḳhush-hāl ho ga.e
ik shaḳhs ke na hone se vīrāñ hai shahr shahr
sunsān gaañv gaañv ke chaupāl ho ga.e
tūfāñ sitam ke tiir chalātā hī rah gayā
patjhaḌ ke din shajar ke liye Dhaal ho ga.e
kyā ḳhairiyat 'fahīm' kī ab lene aa.e ho
us ko mare hue to ka.ī saal ho ga.e
kuchh koh-kan jo waqf-e-zar-o-mal ho gae
tesha-ba-dast ho ke bhi kangal ho gae
nam-o-numud izzat-o-shohrat kamal-o-fan
ye sab to meri rah ke janjal ho gae
kal tak kaTora le ke jo phirte the dar-ba-dar
kaise wo ek raat mein KHush-haal ho gae
ek shaKHs ke na hone se viran hai shahr shahr
sunsan ganw ganw ke chaupal ho gae
tufan sitam ke tir chalata hi rah gaya
patjhaD ke din shajar ke liye Dhaal ho gae
kya KHairiyat 'fahim' ki ab lene aae ho
us ko mare hue to kai sal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.