kuchh log ji rahe hain KHuda ke baghair bhi
kuchh log jī rahe haiñ ḳhudā ke baġhair bhī
sannāTe gūñjte haiñ sadā ke baġhair bhī
miTTī kī mumlikat meñ numū kī zakāt par
zinda haiñ peḌ āb-o-havā ke baġhair bhī
ye nafratoñ ke zard alaav na hoñge sard
phailegī aag tez havā ke baġhair bhī
rabt-o-ta.alluqāt kā mausam nahīñ koī
bārish huī hai kaalī ghaTā ke baġhair bhī
duniyā ke kār-zār meñ bachchoñ ko maaoñ ne
ruḳhsat kiyā hai harf-e-duā ke baġhair bhī
ḳhauf-e-ḳhudā meñ umr guzārī to kyā milā
kuchh din jiyeñge ḳhauf-e-ḳhudā ke baġhair bhī
kuchh log ji rahe hain KHuda ke baghair bhi
sannaTe gunjte hain sada ke baghair bhi
miTTi ki mumlikat mein numu ki zakat par
zinda hain peD aab-o-hawa ke baghair bhi
ye nafraton ke zard alaw na honge sard
phailegi aag tez hawa ke baghair bhi
rabt-o-talluqat ka mausam nahin koi
barish hui hai kali ghaTa ke baghair bhi
duniya ke kar-zar mein bachchon ko maon ne
ruKHsat kiya hai harf-e-dua ke baghair bhi
KHauf-e-KHuda mein umr guzari to kya mila
kuchh din jiyenge KHauf-e-KHuda ke baghair bhi
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 228)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.