kuchh log laDkhaDate manzil pe ja lage hain
kuchh log laḌkhaḌāte manzil pe jā lage haiñ
apne liye to ab tak sadiyoñ ke fāsle haiñ
ahvāl dostī kā kyā pūchhte ho yaaro
rakhte haiñ vo kudūrat dushman se jā mile haiñ
un meñ bhī gulsitāñ kī ḳhū bū samā ga.ī hai
jo phuul ḳhud-baḳhud hī sahrā meñ khil uThe haiñ
ik lutf aa rahā hai ġham meñ hai shādmānī
jhele haiñ vo masā.ib sāñche meñ Dhal ga.e haiñ
mā’kūs-fitratī kā andāz ye 'ḳhizar' hai
jin meñ hai bojh bhārī utnā hī vo jhuke haiñ
kuchh log laDkhaDate manzil pe ja lage hain
apne liye to ab tak sadiyon ke fasle hain
ahwal dosti ka kya puchhte ho yaro
rakhte hain wo kudurat dushman se ja mile hain
un mein bhi gulsitan ki KHu bu sama gai hai
jo phul KHud-baKHud hi sahra mein khil uThe hain
ek lutf aa raha hai gham mein hai shadmani
jhele hain wo masaib sanche mein Dhal gae hain
ma’kus-fitrati ka andaz ye 'KHizar' hai
jin mein hai bojh bhaari utna hi wo jhuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.