kuchh log shamil dauD mein hain taKHt pane ke liye
kuchh log shamil dauD mein hain taKHt pane ke liye
Raghvendra Dwivedi
MORE BYRaghvendra Dwivedi
kuchh log shāmil dauḌ meñ haiñ taḳht paane ke liye
baaqī sabhī koshish meñ haiñ khāne kamāne ke liye
mehnat mashaqqat ke alāva aur kyā hai zindagī
din bhar bhaTaktā hai parinda chaar daane ke liye
kab kaun likhtā hai muqaddar dūsre insān kā
ḳhud raushnī karnī hai ham ko jagmagāne ke liye
saaya buzurgoñ kī duā kā hai zarūrī sar pe yuuñ
jaise zarūrī chhat hai ghar meñ sar chhupāne ke liye
kyā pā liyā kyā kho diyā ye sochte hoñge kabhī
jo log ghar se duur haiñ daulat kamāne ke liye
ḳhud ko mukammal maan kar maiñ chhāñv meñ baiThā nahīñ
maiñ dhuup meñ chaltā huuñ ḳhud ko āzmāne ke liye
kuchh log shamil dauD mein hain taKHt pane ke liye
baqi sabhi koshish mein hain khane kamane ke liye
mehnat mashaqqat ke alawa aur kya hai zindagi
din bhar bhaTakta hai parinda chaar dane ke liye
kab kaun likhta hai muqaddar dusre insan ka
KHud raushni karni hai hum ko jagmagane ke liye
saya buzurgon ki dua ka hai zaruri sar pe yun
jaise zaruri chhat hai ghar mein sar chhupane ke liye
kya pa liya kya kho diya ye sochte honge kabhi
jo log ghar se dur hain daulat kamane ke liye
KHud ko mukammal man kar main chhanw mein baiTha nahin
main dhup mein chalta hun KHud ko aazmane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.