kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte
kuchh log to itnī bhī muravvat nahīñ karte
milne kī kabhī ḳhud se bhī zahmat nahīñ karte
is baar to raste bhī mujhe rok rahe haiñ
dīvār-o-dar-o-bām hī ulfat nahīñ karte
bāzār meñ ab kaun ḳharīdār hai apnā
itnī bhī ziyāda abhī qīmat nahīñ karte
kyā hogā sar-e-shām jo ham hoñge na ghar meñ
ye soch ke ham shahr se hijrat nahīñ karte
kahte haiñ faqīroñ kī fazīlat pe qasā.ed
ham aaj bhī hukkām kī bai.at nahīñ karte
sajdoñ ke evaz ḳhuld-e-barīñ māñgne vaalo
kyuuñ apne makānoñ ko hī jannat nahīñ karte
chhup jaate haiñ āġhosh meñ sūraj kī hamesha
ye chāñd-sitāre kabhī rehlat nahīñ karte
sūkhe hue peḌoñ pe koī phuul nahīñ hai
kyuuñ in se parinde bhī mohabbat nahīñ karte
dīvār to uThtī huī dekheñge gharoñ meñ
vo log jo bachchoñ ko nasīhat nahīñ karte
kuchh log to itni bhi murawwat nahin karte
milne ki kabhi KHud se bhi zahmat nahin karte
is bar to raste bhi mujhe rok rahe hain
diwar-o-dar-o-baam hi ulfat nahin karte
bazar mein ab kaun KHaridar hai apna
itni bhi ziyaada abhi qimat nahin karte
kya hoga sar-e-sham jo hum honge na ghar mein
ye soch ke hum shahr se hijrat nahin karte
kahte hain faqiron ki fazilat pe qasaed
hum aaj bhi hukkaam ki baiat nahin karte
sajdon ke ewaz KHuld-e-barin mangne walo
kyun apne makanon ko hi jannat nahin karte
chhup jate hain aaghosh mein suraj ki hamesha
ye chand-sitare kabhi rehlat nahin karte
sukhe hue peDon pe koi phul nahin hai
kyun in se parinde bhi mohabbat nahin karte
diwar to uThti hui dekhenge gharon mein
wo log jo bachchon ko nasihat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.