kuchh lutf maza majlis mein nahin
kuchh lutf maza majlis meñ nahīñ
ai dost tū shāmil jis meñ nahīñ
jo baat hai terī āñkhoñ meñ
vo baat gul-e-nargis meñ nahīñ
tire shahr ko dekh ke dil bolā
ye sundartā paris meñ nahīñ
tire pairoñ se uTh kar jaa.e kahīñ
ye hausla is muflis meñ nahīñ
vo patthar dil kyā pighlegā
lau ishq junūñ kī jis meñ nahīñ
ab ḳhud ko dilāse detā huuñ
fuqdān-e-vafā kis kis meñ nahīñ
vo 'zeb' hasīn balā kī hai
par rahm zarā behis meñ nahīñ
kuchh lutf maza majlis mein nahin
ai dost tu shamil jis mein nahin
jo baat hai teri aankhon mein
wo baat gul-e-nargis mein nahin
tere shahr ko dekh ke dil bola
ye sundarta paris mein nahin
tere pairon se uTh kar jae kahin
ye hausla is muflis mein nahin
wo patthar dil kya pighlega
lau ishq junun ki jis mein nahin
ab KHud ko dilase deta hun
fuqdan-e-wafa kis kis mein nahin
wo 'zeb' hasin bala ki hai
par rahm zara behis mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.