kuchh mera bhi charcha hai taqdir ke maron mein
kuchh mera bhi charcha hai taqdir ke maron mein
Mittar Singh Aashna
MORE BYMittar Singh Aashna
kuchh merā bhī charchā hai taqdīr ke māroñ meñ
TuuTā huā taarā huuñ pur-nūr sitāroñ meñ
rangīn nazāroñ se vahshat hai mire dil ko
maiñ kaise chalā jā.ūñ gulshan kī bahāroñ meñ
rahtā huuñ maiñ sahrā meñ bastī se judā ho kar
DhūñDo na mujhe yaaro tum shoḳh nazāroñ meñ
maiñ kaise rahūñ zinda girdāb kī bāñhoñ meñ
miltī hai amaañ kis ko tūfān ke dhāroñ meñ
ye log luTere haiñ lūTeñge mere dil ko
milte haiñ kahāñ muḳhlis in hirs ke māroñ meñ
kāñdhoñ pe uThā lenā tābūt-e-mohabbat ko
mujh ko bhī sajā denā chāhat ke mazāroñ meñ
maiñ 'āshnā' vāqif huuñ hālāt-e-gulistāñ se
jazbāt kī garmī hai phūloñ meñ na ḳhāroñ meñ
kuchh mera bhi charcha hai taqdir ke maron mein
TuTa hua tara hun pur-nur sitaron mein
rangin nazaron se wahshat hai mere dil ko
main kaise chala jaun gulshan ki bahaaron mein
rahta hun main sahra mein basti se juda ho kar
DhunDo na mujhe yaro tum shoKH nazaron mein
main kaise rahun zinda girdab ki banhon mein
milti hai aman kis ko tufan ke dhaaron mein
ye log luTere hain luTenge mere dil ko
milte hain kahan muKHlis in hirs ke maron mein
kandhon pe uTha lena tabut-e-mohabbat ko
mujh ko bhi saja dena chahat ke mazaron mein
main 'ashna' waqif hun haalat-e-gulistan se
jazbaat ki garmi hai phulon mein na KHaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.