kuchh mera haal bata de mujhko
kuchh mirā haal batā de mujh ko
mere ash.ār sunā de mujh ko
ḳhvāb aane ko haiñ betāb ka.ī
aa mirī niiñd sulā de mujh ko
maiñ tire chaak pe rakkhā huuñ abhī
tū banā de yā miTā de mujh ko
bhuul jā.ūñ na maiñ chehra apnā
merī tasvīr dikhā de mujh ko
maiñ haqīqat kā parastār rahūñ
itnī taufīq ḳhudā de mujh ko
apnī āñkhoñ meñ basā kar ai dost
merī nazroñ se chhupā de mujh ko
ab to har shaḳhs burā lagtā hai
mujh se ik baar milā de mujh ko
kuchh mera haal bata de mujh ko
mere ashaar suna de mujh ko
KHwab aane ko hain betab kai
aa meri nind sula de mujh ko
main tere chaak pe rakkha hun abhi
tu bana de ya miTa de mujh ko
bhul jaun na main chehra apna
meri taswir dikha de mujh ko
main haqiqat ka parastar rahun
itni taufiq KHuda de mujh ko
apni aankhon mein basa kar ai dost
meri nazron se chhupa de mujh ko
ab to har shaKHs bura lagta hai
mujh se ek bar mila de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.