kuchh mukaddar sa sar-e-baalin tujhe pata hun main
kuchh mukaddar sā sar-e-bālīñ tujhe paatā huuñ maiñ
le charāġh-e-sub.h se pahle bujhā jaatā huuñ maiñ
kushta-e-ġham ko dam-e-īsā to zinda kar chukā
lījiye ab un ke dāman kī havā laatā huuñ maiñ
jis qadar pāmāl karte haiñ vo rāh-e-ishq meñ
sūrat-e-naqsh-e-kaf-e-pā aur ubhar aatā huuñ maiñ
sham.a ne khīñche vo tasvīr-e-ma.āl-e-zindagī
har nasīm-e-sub.h ke jhoñke pe tharrātā huuñ maiñ
mai-kada bilkul haqīqat hai haram sirf e'tiqād
mohtasib ab dekhnā ye hai kidhar jaatā huuñ maiñ
sub.h-dam kuchh is tarah dil gosh-bar-āvāz thā
jab kisī ġhunche ne chuTkī lī kahā aatā huuñ maiñ
ab ḳhudā ma.alūm dil hai kis maqām-e-ishq par
vo jafāoñ par jafā karte haiñ sharmātā huuñ maiñ
dekhiye kab ho mayassar ishrat-e-sāhil mujhe
zindagī ik qulzum-e-ġham hai bahā jaatā huuñ maiñ
mohtasib ḳhauf-e-shikast-e-sāġhar-e-rangīñ na pūchh
jab koī ġhuncha chaTaktā hai laraz jaatā huuñ maiñ
kushtagān-e-yās ko ai 'faiz' paiġhām-e-hayāt
barbat-e-dil par ba-tarz-e-nau ġhazal gaatā huuñ maiñ
kuchh mukaddar sa sar-e-baalin tujhe pata hun main
le charagh-e-subh se pahle bujha jata hun main
kushta-e-gham ko dam-e-isa to zinda kar chuka
lijiye ab un ke daman ki hawa lata hun main
jis qadar pamal karte hain wo rah-e-ishq mein
surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa aur ubhar aata hun main
shama ne khinche wo taswir-e-maal-e-zindagi
har nasim-e-subh ke jhonke pe tharraata hun main
mai-kada bilkul haqiqat hai haram sirf e'tiqad
mohtasib ab dekhna ye hai kidhar jata hun main
subh-dam kuchh is tarah dil gosh-bar-awaz tha
jab kisi ghunche ne chuTki li kaha aata hun main
ab KHuda malum dil hai kis maqam-e-ishq par
wo jafaon par jafa karte hain sharmata hun main
dekhiye kab ho mayassar ishrat-e-sahil mujhe
zindagi ek qulzum-e-gham hai baha jata hun main
mohtasib KHauf-e-shikast-e-saghar-e-rangin na puchh
jab koi ghuncha chaTakta hai laraz jata hun main
kushtagan-e-yas ko ai 'faiz' paigham-e-hayat
barbat-e-dil par ba-tarz-e-nau ghazal gata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.