kuchh muqaddar hi bura hai bulbul-e-nashad ka
kuchh muqaddar hi bura hai bulbul-e-nashad ka
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
kuchh muqaddar hī burā hai bulbul-e-nāshād kā
Dar kabhī bijlī kā rahtā hai kabhī sayyād kā
ġham nahīñ dil ho gayā barbād mujh barbād kā
mashġhala jaatā rahā zālim tirī bedād kā
haal to dekhe koī mujh ḳhānamāñ-barbād kā
maiñ nasheman ko bhī ghar samjhā kiyā sayyād kā
ab vahī maiñ huuñ ki apnī bhī ḳhabar rakhtā nahīñ
aur kabhī mamnūn rahtā thā kisī kī yaad kā
ai ḳhudā-e-ishq mujh ko aisī vahshat kar atā
bhuul jaa.eñ vāqi.a ahl-e-jahāñ farhād kā
kyoñ karam-āmez nazroñ se mujhe takte ho tum
imtihāñ madd-e-nazar hai kyā dil-e-barbād kā
kyā ajab hai 'ārzū' bhī jaan ab de de agar
aasrā ab tak to thā is ko tumhārī yaad kā
kuchh muqaddar hi bura hai bulbul-e-nashad ka
Dar kabhi bijli ka rahta hai kabhi sayyaad ka
gham nahin dil ho gaya barbaad mujh barbaad ka
mashghala jata raha zalim teri bedad ka
haal to dekhe koi mujh KHanaman-barbaad ka
main nasheman ko bhi ghar samjha kiya sayyaad ka
ab wahi main hun ki apni bhi KHabar rakhta nahin
aur kabhi mamnun rahta tha kisi ki yaad ka
ai KHuda-e-ishq mujh ko aisi wahshat kar ata
bhul jaen waqia ahl-e-jahan farhad ka
kyon karam-amez nazron se mujhe takte ho tum
imtihan madd-e-nazar hai kya dil-e-barbaad ka
kya ajab hai 'arzu' bhi jaan ab de de agar
aasra ab tak to tha is ko tumhaari yaad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.