kuchh na kuchh hoga meri mushkil ka hal furqat ki raat
kuchh na kuchh hogā mirī mushkil kā hal furqat kī raat
tum na aaoge to aa.egī ajal furqat kī raat
aa gayā kyā nazm-e-hastī meñ ḳhalal furqat kī raat
ruk gayā kyuuñ daur-e-gardūñ kā amal furqat kī raat
ho rahī haiñ shaam se sākin ghaḌī kī sūiyāñ
paañv phailātā hai kyā ek ek pal furqat kī raat
sard sard aahoñ se yuuñ aañsū mire jamte ga.e
ho gayā ta.amīr ik motī-mahal furqat kī raat
kuchh nahīñ khultā ki āḳhir is qadar lambī hai kyuuñ
vasl ke din kā hai jab radd-e-amal furqat kī raat
zindagī bhar ye balā pīchhā na chhoḌegī mirā
aaj jā.egī to phir aa.egī kal furqat kī raat
sub.h kā muñh dekhnā mere muqaddar meñ na thā
merā andesha na thā kuchh be-mahal furqat kī raat
dard meñ Duube hue haiñ shahr saare ai 'vafā'
kis qayāmat kī kahī tū ne ġhazal furqat kī raat
kuchh na kuchh hoga meri mushkil ka hal furqat ki raat
tum na aaoge to aaegi ajal furqat ki raat
aa gaya kya nazm-e-hasti mein KHalal furqat ki raat
ruk gaya kyun daur-e-gardun ka amal furqat ki raat
ho rahi hain sham se sakin ghaDi ki suiyan
panw phailata hai kya ek ek pal furqat ki raat
sard sard aahon se yun aansu mere jamte gae
ho gaya tamir ek moti-mahal furqat ki raat
kuchh nahin khulta ki aaKHir is qadar lambi hai kyun
wasl ke din ka hai jab radd-e-amal furqat ki raat
zindagi bhar ye bala pichha na chhoDegi mera
aaj jaegi to phir aaegi kal furqat ki raat
subh ka munh dekhna mere muqaddar mein na tha
mera andesha na tha kuchh be-mahal furqat ki raat
dard mein Dube hue hain shahr sare ai 'wafa'
kis qayamat ki kahi tu ne ghazal furqat ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.