kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya
kuchh na paa.ī dil ne taskīñ aur kuchh paa.ī to kyā
aisī sūrat se tirī sūrat nazar aa.ī to kyā
ek dushman ke kahe par naaz vo bhī is qadar
apne matlab ko kisī ne aap kī gaa.ī to kyā
hosh aanā thā ki vo ḳhāse sitamgar ban ga.e
haa.e rī qismat ki un ko aql bhī aa.ī to kyā
o jafā-pesha shagufta ḳhātirī hai aur shai
yuuñ hañsī aane ko rone meñ hañsī aa.ī to kyā
aap apne dil se pūchheñ aap hī socheñ zarā
merī aahoñ meñ agar tāsīr bhī aa.ī to kyā
mere lāshe par agar tashrīf bhī laa.e to hech
ba.ad mere un ko merī yaad bhī aa.ī to kyā
apnī aadat se vo baaz aa jaa.eñ mumkin hī nahīñ
kahne-sunñe se ghaḌī-bhar ko hayā aa.ī to kyā
kuchh na kuchh aġhyār ne paTTī paḌhā.ī hai zarūr
tum ne khāne ko mire sar kī qasam khaa.ī to kyā
thā jo kuchh taqdīr kā honā vo ho kar hī rahā
karne vāloñ ne jo kī bhī chāra-farmā.ī to kyā
be-vafāoñ meñ to kuchh gintī nahīñ terī tarah
ham ko kahtī hai agar maḳhlūq saudā.ī to kyā
ai safī' tark-e-ta.alluq kar ke itrāte ho kyuuñ
umr-bhar meñ ye huī hai tum se dānā.ī to kyā
kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya
aisi surat se teri surat nazar aai to kya
ek dushman ke kahe par naz wo bhi is qadar
apne matlab ko kisi ne aap ki gai to kya
hosh aana tha ki wo KHase sitamgar ban gae
hae ri qismat ki un ko aql bhi aai to kya
o jafa-pesha shagufta KHatiri hai aur shai
yun hansi aane ko rone mein hansi aai to kya
aap apne dil se puchhen aap hi sochen zara
meri aahon mein agar tasir bhi aai to kya
mere lashe par agar tashrif bhi lae to hech
baad mere un ko meri yaad bhi aai to kya
apni aadat se wo baz aa jaen mumkin hi nahin
kahne-sunne se ghaDi-bhar ko haya aai to kya
kuchh na kuchh aghyar ne paTTi paDhai hai zarur
tum ne khane ko mere sar ki qasam khai to kya
tha jo kuchh taqdir ka hona wo ho kar hi raha
karne walon ne jo ki bhi chaara-farmai to kya
be-wafaon mein to kuchh ginti nahin teri tarah
hum ko kahti hai agar maKHluq saudai to kya
ai safi' tark-e-talluq kar ke itraate ho kyun
umr-bhar mein ye hui hai tum se danai to kya
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 69)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.