kuchh na puchho kyun hua kya kya hua
kuchh na pūchho kyuuñ huā kyā kyā huā
jo huā haq meñ mire achchhā huā
vo zamāne meñ bahut rusvā huā
jo bhī un ke husn kā shaidā huā
mujrim-e-ishq-o-vafā haiñ aur bhī
kyoñ mire hī naam kā charchā huā
us kī nazroñ meñ hai narmāhaT bahut
vo agar patthar huā to kyā huā
be-irāda hī to uTThī thī nazar
kyoñ isī kā bazm meñ charchā huā
simTā simTā jis qadar mahfil meñ thā
us qadar bikhrā huuñ jab tanhā huā
naam vaalā thā bahut 'rāhī' magar
naam le kar aap kā rusvā huā
kuchh na puchho kyun hua kya kya hua
jo hua haq mein mere achchha hua
wo zamane mein bahut ruswa hua
jo bhi un ke husn ka shaida hua
mujrim-e-ishq-o-wafa hain aur bhi
kyon mere hi nam ka charcha hua
us ki nazron mein hai narmahaT bahut
wo agar patthar hua to kya hua
be-irada hi to uTThi thi nazar
kyon isi ka bazm mein charcha hua
simTa simTa jis qadar mahfil mein tha
us qadar bikhra hun jab tanha hua
nam wala tha bahut 'rahi' magar
nam le kar aap ka ruswa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.