kuchh na tere siwa sujhai de
kuchh na tere sivā sujhā.ī de
tū faqat chār-sū dikhā.ī de
Dor-e-ulfat se bāñdh le yā to
zulf-e-zanjīr se rihā.ī de
zindagī us ke naam kar dūñgā
dil talak vo agar rasā.ī de
mo.ajiza koī aisā ho yā-rab
ro.e dil jab use sunā.ī de
taaj kaase meñ mere shaah rakheñ
aisī mālik mujhe gadā.ī de
dost huuñ maiñ yaqīn kar lūñgā
bol kar jhuuT mat safā.ī de
bāqī-māñda tirī maiñ pūñjī thā
kho ke 'shā.im' na ab duhā.ī de
kuchh na tere siwa sujhai de
tu faqat chaar-su dikhai de
Dor-e-ulfat se bandh le ya to
zulf-e-zanjir se rihai de
zindagi us ke nam kar dunga
dil talak wo agar rasai de
moajiza koi aisa ho ya-rab
roe dil jab use sunai de
taj kase mein mere shah rakhen
aisi malik mujhe gadai de
dost hun main yaqin kar lunga
bol kar jhuT mat safai de
baqi-manda teri main punji tha
kho ke 'shaim' na ab duhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.