kuchh na thi begam mue insan ki buniyaad bhi
kuchh na thī begam mue insān kī buniyād bhī
is janam meñ ho rahī hai us janm kī yaad bhī
den se allāh kī daulat bhī hai aulād bhī
ab unheñ kyā chāhiye bahūveñ bhī haiñ dāmād bhī
saas nandoñ se adāvat un se ulfat hai mujhe
shaad bhī sasurāl meñ huuñ aur maiñ nāshād bhī
jeTh kā muñh dekhtī huuñ kartī huuñ beTī kā paas
ye bhatījā bhī hai merā bībiyo dāmād bhī
kyoñ na kosoñ duur bhāgūñ terī sohbat se mue
khaaj meñ bhī to ladā hai ho gayā hai daad bhī
saut ke aage hai bakrī aur mere haq meñ sher
narm-dil bhī log kahte haiñ use jallād bhī
laal piile mujh pe mat ho tum baTāo apnā ḳhuun
joñk vaalī bhī yahīñ maujūd hai fassād bhī
haa.e kaisā ho gayā hai ḳhuun duniyā kā safed
joñk vaalī bhī na aa.ī mar gayā fassād bhī
aaj sābit ho gayā 'shaidā' tumhārī reḳhtī
ik purānī chiiz bhī hai ik na.ī ījād bhī
kuchh na thi begam mue insan ki buniyaad bhi
is janam mein ho rahi hai us janm ki yaad bhi
den se allah ki daulat bhi hai aulad bhi
ab unhen kya chahiye bahuwen bhi hain damad bhi
sas nandon se adawat un se ulfat hai mujhe
shad bhi sasural mein hun aur main nashad bhi
jeTh ka munh dekhti hun karti hun beTi ka pas
ye bhatija bhi hai mera bibiyo damad bhi
kyon na koson dur bhagun teri sohbat se mue
khaj mein bhi to lada hai ho gaya hai dad bhi
saut ke aage hai bakri aur mere haq mein sher
narm-dil bhi log kahte hain use jallad bhi
lal pile mujh pe mat ho tum baTao apna KHun
jonk wali bhi yahin maujud hai fassad bhi
hae kaisa ho gaya hai KHun duniya ka safed
jonk wali bhi na aai mar gaya fassad bhi
aaj sabit ho gaya 'shaida' tumhaari reKHti
ek purani chiz bhi hai ek nai ijad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.