kuchh nahin ashk-e-nadamat ke siwa sail ke pas
kuchh nahīñ ashk-e-nadāmat ke sivā saa.il ke paas
sharm aatī hai mujhe jaate hue qātil ke paas
ai mirī nādārī-e-dil ye batā de tū mujhe
nazr karne ke liye le jā.ūñ kyā qātil ke paas
kar diyā majbūr aisā shauq ne armān ne
vaa.e nākāmī-e-dil jaanā paḌā qātil ke paas
thī zarūrat zaḳhm-e-dil kī ho gayā hāsil mujhe
aur phir rakkhā hī kyā hai mā-sivā qātil ke paas
apne dil kī kyā batā.eñ kuchh nahīñ ham ko ḳhabar
hosh hī kho baiThe apne pohñch kar manzil ke paas
imtihān-e-dil se pahle be-ḳhudī ne kho diyā
duur thā manzil se ya.anī pohñch kar manzil ke paas
kaaT leñge ḳhud-baḳhud apnā galā ham shauq meñ
kyā ġharaz hai ham ko kyoñ jaate phireñ qātil ke paas
rāz-e-vahshat pūchhte ho kyā hamārā 'rāz' tum
bārhā lauT aa.e haiñ jā jā ke ham qātil ke paas
kuchh nahin ashk-e-nadamat ke siwa sail ke pas
sharm aati hai mujhe jate hue qatil ke pas
ai meri nadari-e-dil ye bata de tu mujhe
nazr karne ke liye le jaun kya qatil ke pas
kar diya majbur aisa shauq ne arman ne
wae nakaami-e-dil jaana paDa qatil ke pas
thi zarurat zaKHm-e-dil ki ho gaya hasil mujhe
aur phir rakkha hi kya hai ma-siwa qatil ke pas
apne dil ki kya bataen kuchh nahin hum ko KHabar
hosh hi kho baiThe apne pohnch kar manzil ke pas
imtihan-e-dil se pahle be-KHudi ne kho diya
dur tha manzil se yani pohnch kar manzil ke pas
kaT lenge KHud-baKHud apna gala hum shauq mein
kya gharaz hai hum ko kyon jate phiren qatil ke pas
raaz-e-wahshat puchhte ho kya hamara 'raaz' tum
barha lauT aae hain ja ja ke hum qatil ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.