kuchh nahin chashm-e-talab ku-e-butan se aage

kuchh nahin chashm-e-talab ku-e-butan se aage
Muzaffar Ahmad Muzaffar
MORE BYMuzaffar Ahmad Muzaffar
kuchh nahīñ chashm-e-talab kū-e-butāñ se aage
koī baḌhtā hī nahīñ vahm-o-gumāñ se aage
ek āvāz hai iqlīm-e-suḳhan ke nazdīk
ek saaya hai mire sāya-e-jāñ se aage
lafz tāsīr kī hiddat se pighal jaate haiñ
ahl-e-dil aaj bhī haiñ ahl-e-zabāñ se aage
dast-e-imroz utāregā ye fardā kā naqāb
dekh pā.egī nazar kaun-o-makāñ se aage
'ishq zardār hai rakhtā hai vafā kī daulat
'aql nikle to kabhī sūd-o-ziyāñ se aage
un kī sohbat to mayassar rahī dil ko lekin
guftugū baḌh na sakī husn-e-bayāñ se aage
jo bhī nikle haiñ vo mā'dūm hue haiñ āḳhir
qāfile rahrav-e-gum-karda-nishāñ se aage
siikh paa.e na 'muzaffar' kabhī ādāb-e-junūñ
ham ne sochā hī nahīñ kār-e-jahāñ se aage
kuchh nahin chashm-e-talab ku-e-butan se aage
koi baDhta hi nahin wahm-o-guman se aage
ek aawaz hai iqlim-e-suKHan ke nazdik
ek saya hai mere saya-e-jaan se aage
lafz tasir ki hiddat se pighal jate hain
ahl-e-dil aaj bhi hain ahl-e-zaban se aage
dast-e-imroz utarega ye farda ka naqab
dekh paegi nazar kaun-o-makan se aage
'ishq zardar hai rakhta hai wafa ki daulat
'aql nikle to kabhi sud-o-ziyan se aage
un ki sohbat to mayassar rahi dil ko lekin
guftugu baDh na saki husn-e-bayan se aage
jo bhi nikle hain wo ma'dum hue hain aaKHir
qafile rahraw-e-gum-karda-nishan se aage
sikh pae na 'muzaffar' kabhi aadab-e-junun
hum ne socha hi nahin kar-e-jahan se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.