kuchh nazar aata nahin hai dekhne par
kuchh nazar aatā nahīñ hai dekhne par
ruk ga.e haiñ aa kar aise rāste par
kuchh bhī ho saktā hai lekin ghar nahīñ hai
chīḳhte hoñ sab jahāñ ik dūsre par
aa gayā hai us ke dil meñ aur koī
par gila ye hai batāyā pūchhne par
in daraḳhtoñ se yahī sīkhā hai ham ne
aah bhī bharte nahīñ haiñ TūTne par
itnī ujlat meñ bhare haiñ zaḳhm mere
ab vo yaad aatā hai kaafī sochne par
phir usī meñ ho ga.e shāmil vahī jo
pahle patthar pheñkte the qāfile par
ek us ko hī pata thī merī aadat
vo nahīñ hañstā thā mere qahqahe par
aur huā bhī Thiik vo hī jis kā Dar thā
bojh itnā rakh diyā thā bulbule par
kuchh nazar aata nahin hai dekhne par
ruk gae hain aa kar aise raste par
kuchh bhi ho sakta hai lekin ghar nahin hai
chiKHte hon sab jahan ek dusre par
aa gaya hai us ke dil mein aur koi
par gila ye hai bataya puchhne par
in daraKHton se yahi sikha hai hum ne
aah bhi bharte nahin hain TuTne par
itni ujlat mein bhare hain zaKHm mere
ab wo yaad aata hai kafi sochne par
phir usi mein ho gae shamil wahi jo
pahle patthar phenkte the qafile par
ek us ko hi pata thi meri aadat
wo nahin hansta tha mere qahqahe par
aur hua bhi Thik wo hi jis ka Dar tha
bojh itna rakh diya tha bulbule par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.