kuchh nazar aata nahin hai wo ujala kar diya
kuchh nazar aatā nahīñ hai vo ujālā kar diyā
sab hī apnā aap bhūle vo tamāshā kar diyā
kaan bhī paḌtī nahīñ hai ab to āvāz-e-zamīr
khokhle zehnoñ ne itnā shor barpā kar diyā
haath ḳhālī haiñ hamāre aur kuchh rabb-e-jalīl
tū ne jo kuchh bhī likhā thā ham ne puurā kar diyā
mas.ale jaise chaTāneñ rahnumā jaise havā
vaqt ne kitne falak-bosoñ ko baunā kar diyā
chuntā phirtā huuñ maiñ apne-āp vahī raat din
zindagī ne yuuñ bikherā reza reza kar diyā
kuchh nazar aata nahin hai wo ujala kar diya
sab hi apna aap bhule wo tamasha kar diya
kan bhi paDti nahin hai ab to aawaz-e-zamir
khokhle zehnon ne itna shor barpa kar diya
hath KHali hain hamare aur kuchh rabb-e-jalil
tu ne jo kuchh bhi likha tha hum ne pura kar diya
masale jaise chaTanen rahnuma jaise hawa
waqt ne kitne falak-boson ko bauna kar diya
chunta phirta hun main apne-ap wahi raat din
zindagi ne yun bikhera reza reza kar diya
- Book : chera chera mery kahani (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.