kuchh nazar aur jhuka kar milna
kuchh nazar aur jhukā kar milnā
mujh ko palkoñ meñ chhupā kar milnā
shahr-e-dil shahr-e-ḳhamoshāñ to nahīñ
phir bhī tum paañv dabā kar milnā
pair ashkoñ se dhulā dūñgā maiñ
tum mire ghar kabhī aa kar milnā
niiñd āñkhoñ meñ bhalī lagtī hai
mujh ko nīñdoñ meñ basā kar milnā
mujh ko āvāz na denā hargiz
merī tanhā.ī pe chhā kar milnā
vo jo chup-chāp sā baiThā hai vahāñ
us kī āñkhoñ meñ samā kar milnā
haañ vahī shaḳhs hai iqbāl-'matīn'
aa.ina us ko dikhā kar milnā
kuchh nazar aur jhuka kar milna
mujh ko palkon mein chhupa kar milna
shahr-e-dil shahr-e-KHamoshan to nahin
phir bhi tum panw daba kar milna
pair ashkon se dhula dunga main
tum mere ghar kabhi aa kar milna
nind aankhon mein bhali lagti hai
mujh ko nindon mein basa kar milna
mujh ko aawaz na dena hargiz
meri tanhai pe chha kar milna
wo jo chup-chap sa baiTha hai wahan
us ki aankhon mein sama kar milna
han wahi shaKHs hai iqbaal-'matin'
aaina us ko dikha kar milna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.