kuchh ne aankhen kuchh ne chehra dekha hai
kuchh ne āñkheñ kuchh ne chehra dekhā hai
sab ne tujh ko thoḌā thoḌā dekhā hai
tum par pyaas ke ma.anī khulne vaale nahīñ
tum ne paanī pī kar dariyā dekhā hai
jin hāthoñ ko chūmne aa jaate the log
aaj unhīñ hāthoñ meñ kaasa dekhā hai
rotī āñkheñ ye sun kar ḳhāmosh huiiñ
malbe meñ ik shaḳhs ko zinda dekhā hai
baabā bolā merī qismat achchhī hai
us ne shāyad haath tumhārā dekhā hai
lagtā hai maiñ pyaas se marne vaalā huuñ
maiñ ne kal shab ḳhvāb meñ sahrā dekhā hai
andhī duniyā ko maiñ kaise samjhā.ūñ
in āñkhoñ se maiñ ne kyā kyā dekhā hai
qaidī raat ko bhāgne vaalā hai 'tābish'
us ne ḳhvāb meñ ḳhufiya rasta dekhā hai
kuchh ne aankhen kuchh ne chehra dekha hai
sab ne tujh ko thoDa thoDa dekha hai
tum par pyas ke mani khulne wale nahin
tum ne pani pi kar dariya dekha hai
jin hathon ko chumne aa jate the log
aaj unhin hathon mein kasa dekha hai
roti aankhen ye sun kar KHamosh huin
malbe mein ek shaKHs ko zinda dekha hai
baba bola meri qismat achchhi hai
us ne shayad hath tumhaara dekha hai
lagta hai main pyas se marne wala hun
main ne kal shab KHwab mein sahra dekha hai
andhi duniya ko main kaise samjhaun
in aankhon se main ne kya kya dekha hai
qaidi raat ko bhagne wala hai 'tabish'
us ne KHwab mein KHufiya rasta dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.