Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ek pal jo bhulae hue se lagte hain

Tabassum Azmi

kuchh ek pal jo bhulae hue se lagte hain

Tabassum Azmi

MORE BYTabassum Azmi

    kuchh ek pal jo bhulā.e hue se lagte haiñ

    nazar meñ ab bhī samā.e hue se lagte haiñ

    ye intizār ke lamhoñ hai ajiib fareb

    vo aa rahe haiñ vo aa.e hue se lagte haiñ

    huī hai yuuñ to bahut un meñ rang-āmezī

    magar ye qisse sunā.e hue se lagte haiñ

    har ek baat meñ gholā hai us ne ras lekin

    tamām lafz chabā.e hue se lagte haiñ

    ba-vaqt-e-shām vo jaage haiñ haath malte hue

    asāsa saarā gañvā.e hue se lagte haiñ

    yuuñ oḌhe phirte haiñ mazlūmiyat do-shāla

    zamāne-bhar ke satā.e hue se lagte haiñ

    Tapak rahī hai 'tabassum' se un ke be-zārī

    jale bhune haiñ jalā.e hue se lagte haiñ

    kuchh ek pal jo bhulae hue se lagte hain

    nazar mein ab bhi samae hue se lagte hain

    ye intizar ke lamhon ka hai ajib fareb

    wo aa rahe hain wo aae hue se lagte hain

    hui hai yun to bahut un mein rang-amezi

    magar ye qisse sunae hue se lagte hain

    har ek baat mein ghola hai us ne ras lekin

    tamam lafz chabae hue se lagte hain

    ba-waqt-e-sham wo jage hain hath malte hue

    asasa sara ganwae hue se lagte hain

    yun oDhe phirte hain mazlumiyat ka do-shaala

    zamane-bhar ke satae hue se lagte hain

    Tapak rahi hai 'tabassum' se un ke be-zari

    jale bhune hain jalae hue se lagte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now