Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh phul the kuchh abr tha kuchh baad-e-saba thi

Khursheed Rizvi

kuchh phul the kuchh abr tha kuchh baad-e-saba thi

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    kuchh phuul the kuchh abr thā kuchh bād-e-sabā thī

    kuchh vaqt thā kuchh vaqt se bāhar fazā thī

    kuchh rañg the kuchh dhuup thī kuchh dahshat-e-anjām

    kuchh saañs the kuchh saañs meñ ḳhushbū-e-fanā thī

    kuchh rañg-e-shafaq tez thā kuchh aañkh meñ ḳhuuñ thā

    kuchh zehn pe chhā.ī tire hāthoñ hinā thī

    kuchh guzrī huī umr yādoñ fusūñ thā

    kuchh aate hue vaqt ke qadmoñ sadā thī

    sadiyoñ se dhaḌaktī huī ik chaap thī dil meñ

    ek ek ghaḌī sūrat-e-naqsh-e-kaf-e-pā thī

    donoñ ko vahī ek bikhar jaane Dar thā

    maiñ thā gul-e-sad-chāk thā aur tez havā thī

    'ḳhurshīd' sar-e-shām tah-e-dāman-e-kohsār

    dil thā ki vahī koh derīna nidā thī

    kuchh phul the kuchh abr tha kuchh baad-e-saba thi

    kuchh waqt tha kuchh waqt se bahar ki faza thi

    kuchh rang the kuchh dhup thi kuchh dahshat-e-anjam

    kuchh sans the kuchh sans mein KHushbu-e-fana thi

    kuchh rang-e-shafaq tez tha kuchh aankh mein KHun tha

    kuchh zehn pe chhai tere hathon ki hina thi

    kuchh guzri hui umr ki yaadon ka fusun tha

    kuchh aate hue waqt ke qadmon ki sada thi

    sadiyon se dhaDakti hui ek chap thi dil mein

    ek ek ghaDi surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa thi

    donon ko wahi ek bikhar jaane ka Dar tha

    main tha gul-e-sad-chaak tha aur tez hawa thi

    'KHurshid' sar-e-sham tah-e-daman-e-kohsar

    dil tha ki wahi koh ki derina nida thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now