kuchh raat ki aahen hoti hain kuchh subh ke nale hote hain
kuchh raat ki aahen hoti hain kuchh subh ke nale hote hain
Saqib Amrohvi
MORE BYSaqib Amrohvi
kuchh raat kī aaheñ hotī haiñ kuchh sub.h ke naale hote haiñ
bīmār-e-alam ko furqat ke bas yahī sañbhāle hote haiñ
jab dard jigar meñ uThtā hai ik hazz-e-vasl sā miltā hai
furqat meñ taḌapte dil ke bhī andāz nirāle hote haiñ
mil jaatī hai manzil bhī aksar rāhoñ meñ bhaTakne vāloñ ko
jo maut kī ghaḌiyāñ ginte haiñ un ke bhī sañbhāle hote haiñ
ik aisā zamāna aatā hai jab bigḌī qismat bantī hai
rātoñ kī siyāhī se aage phir din ke ujāle hote haiñ
jab zabt kī had ho jaatī hai tab ashk nikal hī jaate haiñ
āḳhir vo chhalak hī paḌte haiñ labrez jo pyāle hote haiñ
jab fasl-e-gul aa jaatī hai vahshat bhī javāñ ho jaatī hai
khilte haiñ chaman meñ jitne gul vo paañv meñ chhāle hote haiñ
hote haiñ hasīñ shab ke manzar har roz kisī kī zulfoñ meñ
us vaqt kā aalam kyā kahiye jab maañg nikāle hote haiñ
vo aañkh ke khulte hī lekin hotī haiñ garebāñ meñ apne
jo bāheñ un kī gardan meñ ham ḳhvāb meñ Daale hote haiñ
aatā hai mohabbat meñ 'sāqib' ik vaqt bhī aisā insāñ par
marnā bhī nahīñ hotā āsāñ jiine ke bhī laale hote haiñ
kuchh raat ki aahen hoti hain kuchh subh ke nale hote hain
bimar-e-alam ko furqat ke bas yahi sanbhaale hote hain
jab dard jigar mein uThta hai ek hazz-e-wasl sa milta hai
furqat mein taDapte dil ke bhi andaz nirale hote hain
mil jati hai manzil bhi aksar rahon mein bhaTakne walon ko
jo maut ki ghaDiyan ginte hain un ke bhi sanbhaale hote hain
ek aisa zamana aata hai jab bigDi qismat banti hai
raaton ki siyahi se aage phir din ke ujale hote hain
jab zabt ki had ho jati hai tab ashk nikal hi jate hain
aaKHir wo chhalak hi paDte hain labrez jo pyale hote hain
jab fasl-e-gul aa jati hai wahshat bhi jawan ho jati hai
khilte hain chaman mein jitne gul wo panw mein chhaale hote hain
hote hain hasin shab ke manzar har roz kisi ki zulfon mein
us waqt ka aalam kya kahiye jab mang nikale hote hain
wo aankh ke khulte hi lekin hoti hain gareban mein apne
jo bahen un ki gardan mein hum KHwab mein Dale hote hain
aata hai mohabbat mein 'saqib' ek waqt bhi aisa insan par
marna bhi nahin hota aasan jine ke bhi lale hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.