kuchh rihai ke to aasar bhi ho sakte hain
kuchh rihā.ī ke to āsār bhī ho sakte haiñ
ham had-e-jism se ab paar bhī ho sakte haiñ
tere va.ade to haiñ gaare kī chinā.ī kā ghar
ye zarā der meñ mismār bhī ho sakte haiñ
in ġharīboñ ko yuuñ qadmoñ meñ biThāne vaale
sun kisī sar ki ye dastār bhī ho sakte haiñ
tū bahut ham pe bharosa na kiyā kar jānāñ
ham kisī dil ke gunahgār bhī ho sakte haiñ
bechne aa.eñ haiñ bāzār meñ jo ḳhuddārī
agle vaqtoñ ke ḳharīdār bhī ho sakte haiñ
kuchh rihai ke to aasar bhi ho sakte hain
hum had-e-jism se ab par bhi ho sakte hain
tere wade to hain gare ki chinai ka ghar
ye zara der mein mismar bhi ho sakte hain
in gharibon ko yun qadmon mein biThane wale
sun kisi sar ki ye dastar bhi ho sakte hain
tu bahut hum pe bharosa na kiya kar jaanan
hum kisi dil ke gunahgar bhi ho sakte hain
bechne aaen hain bazar mein jo KHuddari
agle waqton ke KHaridar bhi ho sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.