kuchh rishton mein baT jata hai
kuchh rishtoñ meñ baT jaatā hai
terā pyaar bhī ghaT jaatā hai
bhāñp ke chādar kī kotāhī
tan bhī merā simaT jaatā hai
log bhulā dete haiñ us ko
jo manzar se kaT jaatā hai
miTTī kī shah pā kar paudā
gamle meñ bhī DaT jaatā hai
tum se milne aa jaatā huuñ
jab jī merā uchaT jaatā hai
totā bhī panDit ke ghar kā
ik do mantar raT jaatā hai
bāñsurī bante bante bādal
baañs kā siina phaT jaatā hai
kuchh rishton mein baT jata hai
tera pyar bhi ghaT jata hai
bhanp ke chadar ki kotahi
tan bhi mera simaT jata hai
log bhula dete hain us ko
jo manzar se kaT jata hai
miTTi ki shah pa kar pauda
gamle mein bhi DaT jata hai
tum se milne aa jata hun
jab ji mera uchaT jata hai
tota bhi panDit ke ghar ka
ek do mantar raT jata hai
bansuri bante bante baadal
bans ka sina phaT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.