kuchh roz aazmaoge aur lauT jaoge
kuchh roz āzmāoge aur lauT jāoge
tum bhī qarīb aaoge aur lauT jāoge
man-māniyāñ karoge to phir mere sāth-sāth
apnā bhī dil dukhāoge aur lauT jāoge
tum bhī zamīn-e-dil pe yaqīnan mire habīb
zaḳhmoñ ke ghar banāoge aur lauT jāoge
is baat kā pata hameñ pahle na thā ki tum
nīchā hameñ dikhāoge aur lauT jāoge
maiñ jāntā huuñ tum ko bhalī-bhāñti ġham-gusār
apnī hī bas sunāoge aur lauT jāoge
itne dinoñ meñ ham ne ye sochā na ek din
tum bhī hameñ satāoge aur lauT jāoge
kamre meñ aaj aaya to dīvār ne kahā
phir us ke ḳhat jalāo.ge aur lauT jāoge
va.ada to kar rahe ho magar jāntā huuñ tum
matlab talak nibhāoge aur lauT jāoge
'sohil' tumhārī zindagī dhokoñ se hai bharī
do-chār phir se khāoge aur lauT jāoge
kuchh roz aazmaoge aur lauT jaoge
tum bhi qarib aaoge aur lauT jaoge
man-maniyan karoge to phir mere sath-sath
apna bhi dil dukhaoge aur lauT jaoge
tum bhi zamin-e-dil pe yaqinan mere habib
zaKHmon ke ghar banaoge aur lauT jaoge
is baat ka pata hamein pahle na tha ki tum
nicha hamein dikhaoge aur lauT jaoge
main jaanta hun tum ko bhali-bhanti gham-gusar
apni hi bas sunaoge aur lauT jaoge
itne dinon mein hum ne ye socha na ek din
tum bhi hamein sataoge aur lauT jaoge
kamre mein aaj aaya to diwar ne kaha
phir us ke KHat jalaoge aur lauT jaoge
wada to kar rahe ho magar jaanta hun tum
matlab talak nibhaoge aur lauT jaoge
'sohil' tumhaari zindagi dhokon se hai bhari
do-chaar phir se khaoge aur lauT jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.