kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun
kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
kuchh roz se maiñ bhī bahut āsūdgī ke saath huuñ
ab koī mere saath hai yā maiñ kisī ke saath huuñ
paivast hai mere lahū meñ zāhir-o-bātin kī zau
āzurdagī ke saath huuñ jab se ḳhushī ke saath huuñ
ik bojh hai ab mere siine par mirī maujūdgī
maiñ saath huuñ apne magar ik be-ruḳhī ke saath huuñ
kyā soch kar maiñ ne qadam rakkhā thā dasht-e-najd meñ
kyuuñ ġhaib se utrī huī āvārgī ke saath huuñ
maiñ saath huuñ us ke bahar-sūrat tulū-e-mehr tak
sanjīdgī ke saath huuñ yā dil-lagī ke saath huuñ
kahtā nahīñ suntā nahīñ hañstā nahīñ rotā nahīñ
maiñ bhī azal se aaj tak kaise ġhabī ke saath huuñ
ik mauj meñ baḌhtā chalā jaatā huuñ manzil kī taraf
ya.anī fanā kī raah par maiñ bhī sabhī ke saath huuñ
kuchh ḳhauf khāne kī zarūrat hai na lāzim ehtiyāt
maiñ lashkarī huuñ aap kā aur aap hī ke saath huuñ
muddat huī hai ḳhud-farebī ke zamāne ko lade
ab jo mirā ho kar rahegā maiñ usī ke saath huuñ
'sājid' abhī tak qarz hai mujh par mirī pahchān kā
shāmil kisī ke rañg meñ apnī kamī ke saath huuñ
kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun
ab koi mere sath hai ya main kisi ke sath hun
paiwast hai mere lahu mein zahir-o-baatin ki zau
aazurdagi ke sath hun jab se KHushi ke sath hun
ek bojh hai ab mere sine par meri maujudgi
main sath hun apne magar ek be-ruKHi ke sath hun
kya soch kar main ne qadam rakkha tha dasht-e-najd mein
kyun ghaib se utri hui aawargi ke sath hun
main sath hun us ke bahar-surat tulu-e-mehr tak
sanjidgi ke sath hun ya dil-lagi ke sath hun
kahta nahin sunta nahin hansta nahin rota nahin
main bhi azal se aaj tak kaise ghabi ke sath hun
ek mauj mein baDhta chala jata hun manzil ki taraf
yani fana ki rah par main bhi sabhi ke sath hun
kuchh KHauf khane ki zarurat hai na lazim ehtiyat
main lashkari hun aap ka aur aap hi ke sath hun
muddat hui hai KHud-farebi ke zamane ko lade
ab jo mera ho kar rahega main usi ke sath hun
'sajid' abhi tak qarz hai mujh par meri pahchan ka
shamil kisi ke rang mein apni kami ke sath hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.