kuchh sae se har lahza kisi samt rawan hain
kuchh saa.e se har lahza kisī samt ravāñ haiñ
is shahr meñ varna na makīñ haiñ na makāñ haiñ
ham ḳhud se judā hauke tujhe DhūñDne nikle
bikhre haiñ ab aise ki yahāñ haiñ na vahāñ haiñ
jaatī haiñ tire ghar ko sabhī shahr kī rāheñ
lagtā hai ki sab log tirī samt ravāñ haiñ
ai mauja-e-āvāra kabhī ham se bhī Takrā
ik umr se ham bhī sar-e-sāhil nigarāñ haiñ
simTe the kabhī ham to samā.e sar-e-mizhgāñ
phaile haiñ ab aise ki karāñ tā-ba-karāñ haiñ
tū DhūñD hameñ vaqt kī dīvār ke us paar
ham duur bahut duur kī manzil kā nishāñ haiñ
ik din tire āñchal kī havā ban ke uḌe the
us din se zamāne kī nigāhoñ pe garāñ haiñ
toḌo na hamāre liye āvāz kā āhañg
ham log to ik Dūbte lamhe kī fuġhāñ haiñ
vo jin se farozāñ huā ik ālam-e-imkāñ
vo chāñd-sifat log 'rashīd' aaj kahāñ haiñ
kuchh sae se har lahza kisi samt rawan hain
is shahr mein warna na makin hain na makan hain
hum KHud se juda hauke tujhe DhunDne nikle
bikhre hain ab aise ki yahan hain na wahan hain
jati hain tere ghar ko sabhi shahr ki rahen
lagta hai ki sab log teri samt rawan hain
ai mauja-e-awara kabhi hum se bhi Takra
ek umr se hum bhi sar-e-sahil nigaran hain
simTe the kabhi hum to samae sar-e-mizhgan
phaile hain ab aise ki karan ta-ba-karan hain
tu DhunD hamein waqt ki diwar ke us par
hum dur bahut dur ki manzil ka nishan hain
ek din tere aanchal ki hawa ban ke uDe the
us din se zamane ki nigahon pe garan hain
toDo na hamare liye aawaz ka aahang
hum log to ek Dubte lamhe ki fughan hain
wo jin se farozan hua ek aalam-e-imkan
wo chand-sifat log 'rashid' aaj kahan hain
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 31)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.