kuchh sazgar jab mere haalat bhi nahin
kuchh sāzgār jab mire hālāt bhī nahīñ
aise meñ mere sar pe tirā baat bhī nahīñ
mushtāq-e-dīd bhī nahīñ ye tarfa baat hai
dil meñ ḳhayāl-e-tark-e-mulāqāt bhī nahīñ
kahtā nahīñ maiñ aap ko begāna-ḳhū magar
pahle sī mujh pe lutf-o-ināyāt bhī nahīñ
mujh ko banāyā mumlikat-e-ġham kā tājdār
aur mere lab pe shukr ke kalmāt bhī nahīñ
kis se karūñ umiid maiñ hājat-ravā.ī kī
juz tere koī qibla-e-hājāt bhī nahīñ
saaqī ne bhī mujhe nazar-andāz kar diyā
mujh par nigāh-e-mīr-e-ḳharābāt bhī nahīñ
'ājiz' huuñ ḳhat likhūñ to unheñ kis tarah likhūñ
kāġhaz nahīñ qalam nahīñ dāvāt bhī nahīñ
kuchh sazgar jab mere haalat bhi nahin
aise mein mere sar pe tera baat bhi nahin
mushtaq-e-did bhi nahin ye tarfa baat hai
dil mein KHayal-e-tark-e-mulaqat bhi nahin
kahta nahin main aap ko begana-KHu magar
pahle si mujh pe lutf-o-inayat bhi nahin
mujh ko banaya mumlikat-e-gham ka tajdar
aur mere lab pe shukr ke kalmat bhi nahin
kis se karun umid main hajat-rawai ki
juz tere koi qibla-e-hajat bhi nahin
saqi ne bhi mujhe nazar-andaz kar diya
mujh par nigah-e-mir-e-KHarabaat bhi nahin
'ajiz' hun KHat likhun to unhen kis tarah likhun
kaghaz nahin qalam nahin dawat bhi nahin
- Book : Mahbis-e-Gham (Pg. 101)
- Author : Aajiz Matavi
- Publication : Aajiz Matavi (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.