Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh samajh aaya to samjha mujhe malum nahin

Qaisar Munavvar

kuchh samajh aaya to samjha mujhe malum nahin

Qaisar Munavvar

MORE BYQaisar Munavvar

    kuchh samajh aaya to samjhā mujhe ma.alūm nahīñ

    mujh ko ma.alūm hai ab kyā mujhe ma.alūm nahīñ

    kis taraf jaanā hai bas itnī ḳhabar hai mujh ko

    kis taraf jaatī hai duniyā mujhe ma.alūm nahīñ

    maiñ to bas pyaas bujhāne ke liye aatā huuñ

    kis taraf jaatā hai dariyā mujhe ma.alūm nahīñ

    dekh letā huuñ jahāñ bhī vo nazar aa jaa.e

    ye dar-o-bām-o-darīcha mujhe ma.alūm nahīñ

    itnā ma.alūm hai vo mujh ko bhalā lagtā hai

    ab parāyā hai ki apnā mujhe ma.alūm nahīñ

    tum zamāne chalan pūchh rahe ho mujh se

    apne baare meñ bhī itnā mujhe ma.alūm nahīñ

    har koī apnī tanhā.ī liye phirtā hai

    kaun hai kitnā akelā mujhe ma.alūm nahīñ

    us galī tak koī le jaa.e to kaam ho jaa.e

    ghar to ma.alūm hai rasta mujhe ma.alūm nahīñ

    aaj zinda huuñ yahī soch ke ḳhush rahtā huuñ

    kyā huī umr-e-guzishta mujhe ma.alūm nahīñ

    kuchh samajh aaya to samjha mujhe malum nahin

    mujh ko malum hai ab kya mujhe malum nahin

    kis taraf jaana hai bas itni KHabar hai mujh ko

    kis taraf jati hai duniya mujhe malum nahin

    main to bas pyas bujhane ke liye aata hun

    kis taraf jata hai dariya mujhe malum nahin

    dekh leta hun jahan bhi wo nazar aa jae

    ye dar-o-baam-o-daricha mujhe malum nahin

    itna malum hai wo mujh ko bhala lagta hai

    ab paraya hai ki apna mujhe malum nahin

    tum zamane ka chalan puchh rahe ho mujh se

    apne bare mein bhi itna mujhe malum nahin

    har koi apni si tanhai liye phirta hai

    kaun hai kitna akela mujhe malum nahin

    us gali tak koi le jae to kaam ho jae

    ghar to malum hai rasta mujhe malum nahin

    aaj zinda hun yahi soch ke KHush rahta hun

    kya hui umr-e-guzishta mujhe malum nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now