kuchh sazaen aur bhi hain taziyanon se pare
kuchh sazā.eñ aur bhī haiñ tāziyānoñ se pare
ik asīrī aur bhī hai qaid-ḳhānoñ se pare
ḳhuun jin kā dauḌtā hai sab mashīnoñ meñ yahāñ
vo sisakte log haiñ in kār-ḳhānoñ se pare
jis ke dam se thiiñ hamāre shahr kī sab raunaqeñ
vo bhī jā ke bas gayā hai do jahānoñ se pare
vālihāna raqs kartī jā rahī thī saath saath
Dūbte sūraj kī laalī sārbānoñ se pare
kuchh to lahroñ se hamārī chal rahī thī dushmanī
kuchh havā bhī sāzishī thī bādbānoñ se pare
ik ḳhalā ne mustaqil mujh meñ Thikāna kar liyā
ik ḳhalā phailā huā hai āsmānoñ se pare
mujh se vo miltā hai 'āsif' aadmī ke bhes meñ
us kā mujh se rābta hai āstānoñ se pare
kuchh sazaen aur bhi hain taziyanon se pare
ek asiri aur bhi hai qaid-KHanon se pare
KHun jin ka dauDta hai sab mashinon mein yahan
wo sisakte log hain in kar-KHanon se pare
jis ke dam se thin hamare shahr ki sab raunaqen
wo bhi ja ke bas gaya hai do jahanon se pare
walihana raqs karti ja rahi thi sath sath
Dubte suraj ki lali sarbanon se pare
kuchh to lahron se hamari chal rahi thi dushmani
kuchh hawa bhi sazishi thi baadbanon se pare
ek KHala ne mustaqil mujh mein Thikana kar liya
ek KHala phaila hua hai aasmanon se pare
mujh se wo milta hai 'asif' aadmi ke bhes mein
us ka mujh se rabta hai aastanon se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.