kuchh shaghl hai to mere dil-e-be-qarar ko
kuchh shaġhl hai to mere dil-e-be-qarār ko
yārab tavīl kar de shab-e-intizār ko
samjhā-bujhā ke apne dil-e-be-qarār ko
rahbar banā liyā hai tire intizār ko
anjān ban ke pūchh rahe ho mirā mizāj
tum ḳhuub jānte ho mire hāl-e-zār ko
tum chāhte the tark-e-ta'alluq ho ho gayā
ham bhī du'ā.eñ deñge ġham-e-rozgār ko
baḌhtā hī jā rahā hai añdheroñ kā silsila
haañ chhīn le koī mire sabr-o-qarār ko
ai be-ḳhudī-e-shauq ye kyā ho gayā mujhe
āvāz de rahā huuñ chaman meñ bahār ko
in mai-kashān-e-dīd kī tauba bhī ḳhuub hai
lalchā rahe haiñ dekh kar abr-e-bahār ko
bad-nāmiyoñ kā apnī agar Dar hai is qadar
kyoñ chheḌte haiñ aap kisī sogvār ko
'afgan' ḳhud apnī aag meñ ġhunche jhulas ga.e
ilzām ab na de koī fasl-e-bahār ko
kuchh shaghl hai to mere dil-e-be-qarar ko
yarab tawil kar de shab-e-intizar ko
samjha-bujha ke apne dil-e-be-qarar ko
rahbar bana liya hai tere intizar ko
anjaan ban ke puchh rahe ho mera mizaj
tum KHub jaante ho mere haal-e-zar ko
tum chahte the tark-e-ta'alluq ho ho gaya
hum bhi du'aen denge gham-e-rozgar ko
baDhta hi ja raha hai andheron ka silsila
han chhin le koi mere sabr-o-qarar ko
ai be-KHudi-e-shauq ye kya ho gaya mujhe
aawaz de raha hun chaman mein bahaar ko
in mai-kashan-e-did ki tauba bhi KHub hai
lalcha rahe hain dekh kar abr-e-bahaar ko
bad-namiyon ka apni agar Dar hai is qadar
kyon chheDte hain aap kisi sogwar ko
'afgan' KHud apni aag mein ghunche jhulas gae
ilzam ab na de koi fasl-e-bahaar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.