kuchh soz ki haalat mat puchho sarmast-e-sharab-e-irfan hai

kuchh soz ki haalat mat puchho sarmast-e-sharab-e-irfan hai
Anwar Ali Khan Soz
MORE BYAnwar Ali Khan Soz
kuchh 'soz' kī hālat mat pūchho sarmast-e-sharāb-e-'irfāñ hai
ifrāt-e-junūñ ke 'ālam meñ hai dast-e-junūñ aur dāmāñ hai
donoñ se tujhe āgāh kiyā ham farz se apne chhūT ga.e
ab aage ai dil tū jaane ye sāhil hai ye tūfāñ hai
zindān-e-ḳhirad se āzādī āsān nahīñ āsān nahīñ
merī to bhalā tāqat kyā thī jo kuchh hai junūñ kā ehsāñ hai
kyoñ aaj junūñ dīvānoñ kā afzūñ-tar hotā jaatā hai
shāyad ki ulaTne ko phir se ik baar naqāb-e-jānāñ hai
kuchh 'soz' ki haalat mat puchho sarmast-e-sharab-e-'irfan hai
ifraat-e-junun ke 'alam mein hai dast-e-junun aur daman hai
donon se tujhe aagah kiya hum farz se apne chhuT gae
ab aage ai dil tu jaane ye sahil hai ye tufan hai
zindan-e-KHirad se aazadi aasan nahin aasan nahin
meri to bhala taqat kya thi jo kuchh hai junun ka ehsan hai
kyon aaj junun diwanon ka afzun-tar hota jata hai
shayad ki ulaTne ko phir se ek bar naqab-e-jaanan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.